طلبہء علي گڑھ کالج کے نام
Nazm · Allama Iqbal · علامہ اقبال · 7 sher · Roman Urdu ke saath
Auron Ka Hai Payam Aur, Mera Payam Aur HaiIshq Ke Dardmand Ka Tarz-e-Kalaam Aur Hai
Taair-e-Zair-e-Daam Ke Naale Tu Sun Chukke Ho TumYe Bhi Suno Ke Nala-e-Tair-e-Baam Aur Hai
At Thi Koh Se Sada Raaz-e-Hayat Hai SukoonKehta Tha Moor-e-Natwan Lutf-e-Kharaam Aur Hai
Jazb-e-Haram Se Hai Farough Anjuman-e-HijazIss Ka Maqam Aur Hai, Iss Ka Nizam Aur Hai
Mout Hai Aysh-e-Javidan, Zuaq-e-Talab Agar Na HoGardish-e-Adami Hai Aur, Gardish-e-Jaam Aur Hai
Shama-e-Sehar Ye Keh Gyi Souz Hai Zindagi Ka SaazGhamkuda-e-Namood Mein Shart-e-Dawam Aur Hai
Badah Hai Neem Ras Abhi, Shuaq Hai Na-Rasa AbhiRehne Do Khum Ke Sar Pe Tum Khisht-e-Kaleesiya Abhi