ــــــــ کي گود ميں بلي ديکھ کر
Nazm · Allama Iqbal · علامہ اقبال · 11 sher · Roman Urdu ke saath
Tujh Ko Duz Didah Nigahi Ye Sikha Di Kis NeRamz Aghaz-e-Mohabbat Ki Bata Di Kis Ne
Har Ada Se Teri Paida Hai Mohabat KaisiNeeli Ankhon Se Tapakti Hai Zakawat Kaisi
Dekhti Hai Kabhi In Ko, Kabhi Sharmati HaiKabhi Uthti Hai, Kabhi Lait Ke So Jati Hai
Ankh Teri Sift-e-Aaeena Heran Hai KyaNoor-e-Agahi Se Roshan Teri Pehchan Hai Kya
Maarti Hai Inhain Ponhchon Se, Ajab Naaz Hai YeChair Hai, Gussa Hai Ya Pyar Ka Andaz Hai Ye?
Shaukh Tu Ho Gi To Godi Se Utarain Ge TujheGir Gya Phool Jp Seene Ka To Marain Ge Tujhe
Kya Tajasus Hai Tujhe, Kis Ki Tamanai HaiAh! Kya Tu Bhi Issi Cheez Ki Sodayi Hai
Khas Insan Se Kuch Husn Ka Ehsas NahinSoorat-e-Dil Hai Ye Har Cheez Ke Batin Mein Makeen
Sheesha-e-Dehr Mein Manind-e-Mai-e-Naab Hai IshqRooh-e-Khursheed Hai, Khoon-e-Rag-e-Mehtab Hai Ishq
Dil-e-Har Zarra Mein Poshida Kasak Haai Iss KiNoor Ye Wo Hai Ke Har Shay Mein Jhalak Hai Uss Ki
Kahin Saman-e-Musarrat, Kahin Saaz-e-Gham HaiKahin Gohar Hai, Kahin Ashk, Kahin Shabnam Hai