رمزِ زندگیRamz E Zindagi

چاند اور تارے

Nazm · Allama Iqbal · علامہ اقبال · 12 sher · Roman Urdu ke saath

Darte Darte Dam-e-Sehar SeTare Kehne Lage Qamar Se
Nazare Rahe Wohi Falak ParHum Thak Bhi Gaye Chamak Chamak Kar
Kaam Apna Hai Subah-o-Shaam ChalnaChalna, Chalna, Madaam Chalna
Betaab Hai Iss Jahan Ki Har ShayKehte Hain Jise Sukoon, Nahin Hain
Rehte Hain Sitam Kash-e-Safar SubTare, Insan, Shajar, Hajar Sub
Ho Ga Kabhi Khatam Ye Safar KyaManzil Kabhi Aye Gi Nazar Kya
Kehne Laga Chand, Hum NasheenoAe Mazra-e-Shab Ke Khausha Cheeno!
Junbish Se Hai Zindagi Jahan KiYe Rasm Qadeem Hai Yahan Ki
Iss Reh Mein Maqam Be-Mehel HaiPoshida Qarar Mein Ajal Hai
Chalne Wale Nikl Gye HainJo Thehre Zra, Kuchal Gye Hain
Anjaam Hai Iss Kharaam Ka HusnAghaz Hai Ishq, Intihaa Husn