Justujoo Jis Gul Ki Tarpati Thi Ae Bulbul MujheKhoobi-e-Qismat Se Akhir Mil Gya Woh Gul Mujhe
Khud Tarapta Tha, Chaman Ko Tarpata Tha MeinTujh Ko Jab Rangeen Nawa Pata Tha, Sharmata Tha Mein
Mere Pehlu Mein Dil-e-Mutar Na Tha, Seemab ThaIrtaqab-e-Jurm-e-Ulfat Ke Liye Be-Taab Tha
Na-Muradi Mehfil-e-Gul Mein Meri Mashoor ThiSubah Meri Aaeena Dar-e-Shab-e-Dejoor Thi
Az Nafas Dar Seena-e-Khoon Gashta Nashtar DashtamZair-e-Khamoshi Nahan Ghoghaye Mehshar Dashtam
Ab Taasar Ke Jahan Mein Woh Preshani NahinAhl-e-Gulshan Par Garan Meri Ghazal Khawani Nahin
Ishq Ki Garmi Se Shoale Ban Gye Chale MereKhailte Hain Bijlion Ke Sath Ab Nale Mere
Ghazah-e-Ulfat Se Ye Khak-e-Seh Aaeena HaiAur Aaeene Mein Aks-e-Humdam-e-Dairina Hai
Qaid Mein Aya To Hasil Mujh Ko Azadi HuwiDil Ke Lut Jane Se Mere Ghar Ki Abadi Huwi
Zou Se Iss Khursheed Ki Akhtar Mera Tabinda HaiChandni Jis Ke Ghubar-e-Rah Se Sharminda Hai
Yak Nazar Kardi-o-Adaab-e-Fana AmokhtiAe Khunak Roze Ke Khashak-e-MerWa Soukhti