رمزِ زندگیRamz E Zindagi

و صال

Nazm · Allama Iqbal · علامہ اقبال · 11 sher · Roman Urdu ke saath

Justujoo Jis Gul Ki Tarpati Thi Ae Bulbul MujheKhoobi-e-Qismat Se Akhir Mil Gya Woh Gul Mujhe
Mere Pehlu Mein Dil-e-Mutar Na Tha, Seemab ThaIrtaqab-e-Jurm-e-Ulfat Ke Liye Be-Taab Tha
Na-Muradi Mehfil-e-Gul Mein Meri Mashoor ThiSubah Meri Aaeena Dar-e-Shab-e-Dejoor Thi
Az Nafas Dar Seena-e-Khoon Gashta Nashtar DashtamZair-e-Khamoshi Nahan Ghoghaye Mehshar Dashtam
Ab Taasar Ke Jahan Mein Woh Preshani NahinAhl-e-Gulshan Par Garan Meri Ghazal Khawani Nahin
Ghazah-e-Ulfat Se Ye Khak-e-Seh Aaeena HaiAur Aaeene Mein Aks-e-Humdam-e-Dairina Hai
Zou Se Iss Khursheed Ki Akhtar Mera Tabinda HaiChandni Jis Ke Ghubar-e-Rah Se Sharminda Hai
Yak Nazar Kardi-o-Adaab-e-Fana AmokhtiAe Khunak Roze Ke Khashak-e-MerWa Soukhti