Khamosh Hai Chandani Qamar KiShakhain Hain Khamosh Har Shajar Ki
Fitrat Be-Hosh Ho Gyi HaiAghosh Mein Shab Ke So Gyi Hai
Kuch Aesa Sukoot Ka Fasoon HaiNaikar Ka Kharaam Bhi Sukoon Hai
Khamosh Hain Koh-o-Dasht-o-DaryaQudrat Hai Muraqbe Mein Goya
Ae Dil! Tu Bhi Khamosh Ho JaAghosh Mein Gam Ko Le Ke So Ja