رمزِ زندگیRamz E Zindagi

پيام عشق

Nazm · Allama Iqbal · علامہ اقبال · 7 sher · Roman Urdu ke saath

Sun Ae Talabgaar-e-Dard-e-Pehlu! Main Naaz Hun, Tu Niaz Ho JaMain Ghaznavi Soumanat-e-Dil Ka Hum Tu Sarapa Ayaz Ho Ja
Nahin Hai Wabasta Zair-e-Gurdoon Kamal Shan-e-Sikandari SeTamam Saman Hai Tere Seene Mein, Tu Bhi Aaeena Saaz Ho Ja
Garz Hai Paikar-e-Zindagi Se Kamal Paye Hilal TeraJahan Ka Farz-e-Qadeem Hai Tu, Ada Misal-e-Namaz Ho Ja
Na Ho Qinaat Shuar Gulcheen! Issi Se Qayam Hai Shan TeriWafoor-e-Gul Hai Agar Chaman Mein To Aur Daman Daraz Ho Ja
Gye Woh Ayyam, Ab Zamana Nahin Hai Sehra Nawardiyon KaJahan Mein Manind-e-Shama Souzan Miyan-e-Mehfil Gudaz Ho Ja
Wujood Afrad Ka Majazi Hai, Hasti-e-Qoum Hai HaqeeqiFida Ho Millat Pe Yani Atish Zan-e-Tilism-e-Majaaz Ho Ja
Ye Hind Ke Firqa Saaz Iqbal Azari Kar Rahe Hain GoyaBacha Ke Daman Buton Se Apna Gubar-e-Rah-e-Hijaz Ho Ja