رمزِ زندگیRamz E Zindagi

نہ تخت و تاج میں نے لشکر و سپاہ میں ہے

Ghazal · Allama Iqbal · علامہ اقبال · 7 sher · Roman Urdu ke saath

na taḳht-o-tāj meñ ne lashkar-o-sipāh meñ haijo baat mard-e-qalandar kī bārgāh meñ hai
sanam-kada hai jahāñ aur mard-e-haq hai ḳhalīlye nukta vo hai ki poshīda lā-ilāh meñ hai
vahī jahāñ hai tirā jis ko tū kare paidāye sañg-o-ḳhisht nahīñ jo tirī nigāh meñ hai
mah o sitāra se aage maqām hai jis kāvo musht-e-ḳhāk abhī āvārgān-e-rāh meñ hai
ḳhabar milī hai ḳhudāyān-e-bahr-o-bar se mujhefarañg rahguzar-e-sail-e-be-panāh meñ hai
talāsh us kī fazāoñ meñ kar nasīb apnājahān-e-tāza mirī āh-e-sub.h-gāh meñ hai
mire kadū ko ġhanīmat samajh ki bāda-e-nābna madrase meñ hai baaqī na ḳhānqāh meñ hai