Ro Le Ab Dil Khol Kar Ae Didah-e-Khunanaba BarWoh Nazar Ata Hai Tehzeeb-e-Hijazi Ka Mazar
Tha Yahab Hangama In Sehra Nasheenon Ka KabhiBeher Bazi-Gah Tha Jin Ke Safeenon Ka Kabhi
Zalzale Jin Se Shehanshahon Ke Darbaron Mein TheBijliyon Ke Aashiyane Jin Ki Talwaron Mein The
Ek Jahan-e-Taza Ka Pegham Tha Jin Ka ZahoorKha Gyi Asr-e-Kuhan Ko Jin Ki Taegh-e-Na-Saboor
Murda Alam Zinda Jin Ki Sourish-e-Qum Se HuwaAdmi Azad Zanjeer-e-Toham Se Huwa
Ghulghulon Se Jis Ke Lazzat-Geer Ab Tak Gosh HaiKya Woh Takbeer Ab Hamasha Ke Liye Khamosh Hai?
Aah Ae Sisli! Samunder Ki Hai Tujh Se AbruRehnama Ki Tarah Iss Pani Ke Sehra Mein Hai Tu
Zaib Tere Khal Se Rukhsar-e-Darya Ko RaheTeri Shamaon Se Tasalli Beher-Pema Ko Rahe
Ho Subak Chashme-e-Musafir Par Tera Manzar MadaamMouj Raqsaan Tere Sahil Ki Chatanon Par Madaam
Tu Kabhi Uss Qoum Ki Tehzeeb Ka Gehwara ThaHusn-e-Alam Souz Jis Ka Atish-e-Nazzara Tha
Nala-Kash Sheeraz Ka Bulbul Huwa Baghdad ParDagh Roya Khoon Ke Ansu Jahan-Abad Par
Asman Ne Doulat-e-Gharnata Jab Barbad KiIbn-e-Badroon Ke Dil-e-Na-Shaad Ne Faryad Ki
Gham Naseeb Iqbal Ko Bakhsa Gya Matam TeraChun Liya Taqdeer Ne Woh Dil Ke Tha Mehram Tera
Hai Tere Asaar Mein Poshidah Kis Ki DastanTere Sahil Ki Khamoshi Mein Hai Andaz-e-Byan
Dard Apna Mujh Se Keh, Main Bhi Sarapa Dard HunJis Ki Tu Manzil Tha, Main Uss Karwan Ki Gard Hun
Rang Tasveer-e-Kuhan Mein Bhar Ke Dikhla De MujheQissa Ayyam-e-Salaf Ka Keh Ke Tarpa De Mujhe
Main Tera Tohfa Sooye Hindustan Le Jaun GaKhud Yahan Rota Hun, Auron Ko Wahan Rulaon Ga