گورستان شاہي
Nazm · Allama Iqbal · علامہ اقبال · 30 sher · Roman Urdu ke saath
Asman, Badal Ka Pehne Kharqa-e-Dairina HaiKuch Mukddar Sa Jabeen-e-Mah Ka Aaeena Hai
Chandni Pheeki Hai Iss Nazara-e-Khamosh MeinSubah-e-Sadiq So Rahi Hai Raat Ki Aghosh Mein
Kis Qadar Ashjaar Ki Hairat Faza Hai KhamashiBarbat-e-Qudrat Ki Dheemi Si Nawa Hai Khamashi
Batin-e-Har Zarra-e-Alam Sarapa Dard HaiAur Khamoshi Lab-e-Hasti Pe Aah-e-Sard Hai
Aah! Joulan-Gah Alamgeer Yani Woh HisarDosh Par Apne Uthaye Saikron Sadiyon Ka Bar
Zindagi Se Tha Kabhi Maamoor, Ab Sunsaan HaiYe Khamoshi Iss Ke Hangamon Ka Goristan Hai
Apne Sukkaan-e-Kuhan Ki Khak Ka Dildah HaiKoh Ke Sar Par Missal-e-Pasban Istada Hai
Abar Ke Rozan Se Woh Balaye Baam-e-AsmanNaazar-e-Alam Hai Najam-e-Sabz Faam-e-Asman
Khak Bazi Wussat-e-Dunya Ka Hai Manzar IsseDastan Nakami-e-Insan Ki Hai Azbar Isse
Hai Azal Se Ye Musafir Sooye Manzil Ja RahaAsman Se Inqalabon Ka Tamasha Dekhta
Go Sukoon Mumkin Nahin Alam Mein Akhtar Ke LiyeFateha Khawani Ko Ye Thehra Hai Dam Bhar Ke Liye
Rang-o-Aab-e-Zindagi Se Gul Ba-Daman Hai ZameenSaikron Khoon Gashta Tehzeebon Ka Madfan Hai Zameen
Khawab Gah Shahon Ki Hai Ye Manzil-e-Hasrat FizaDida-e-Ibrat! Kharaaj-e-Ashak-e-Gulgoon Kar Ada
Hai Tu Goristan Magar Ye Khak Gardoon Paya HaiAah! Ek Bargashta Qismat Qoum Ka Sarmaya Hai
Maqbaron Ki Shan Hairat Afreen Hai Iss QadrJunbish-e-Mazgan Se Hai Chashm-e-Tamasha Ko Hazr
Kaifiat Aesi Hai Nakami Ki Iss Tasveer MeinJo Uter Sakti Nahin Aaeena-e-Tehreer Mein
Sote Hain Khamosh, Abadi Ke Hangamon Se DoorMuztarib Rakhti Thi Jin Ko Arzu-e-Na-Saboor
Qabr Ki Zulmat Mein Hai Un Aftabon Ki ChamakJin Ke Darwazon Pe Rehta Tha Jabeen-Gastar Falak
Kya Yehi Hai Un Shehenshahon Ki Azmat Ka Ma’alJin Ki Tadbeer-e-Jahan Bani Se Darta Tha Zawal
Roab-e-Faghfoori Ho Dunya Mein Ke Shan-e-QaisariTal Nahin Sakti Ghaneem-e-Mout Ki Yorish Kabhi
Badshahon Ki Bhi Kisht-e-Umar Ka Hasil Hai GaurJadah-e-Azmat Ki Goya Akhri Manzil Hai Gaur
Sourish-e-Bazm-e-Tarab Kya, Uood Ki Taqdeer KyaDard Mandan-e-Jahan Ka Nala-e-Shabgeer Kya
Arsa-e-Paikar Mein Hangama-e-Shamsheer KyaKhoon Ko Garmane Wala Nara-e-Takbeer Kya
Ab Koi Awaz Soton Ko Jaga Sakti NahinSeena-e-Weeran Mein Jaan-e-Rafta Aa Sakti Nahin
Rooh, Musht-e-Khak Mein Zehmat Kash-e-Baidad HaiKoocha Gard-e-Ne Huwa Jis Dam Nafas, Faryad Hai
Zindagi Insan Ki Hai Manid-e-Murgh-e-Khush NawaShakh Par Baitha, Koi Dam Chehchaya, Urh Gya
Aah! Kya Aye Riyaz-e-Dehr Mein Hum, Kya Gye!Zindagi Ki Shakh Se Phoote, Khile, Murjha Gye
Mout Har Shah-o-Gada Ke Khawab Ki Tabeer HaiIss Sitam-Gar Ka Sitam Insaf Ki Tasveer Hai
Silsila Hasti Ka Hai Ek Behr-e-Na Paida KinarAur Iss Darye Be Payan Ki Moujain Hain Mazar
Ae Hawas! Khoonro Ke Hai Ye Zindagi Be- EtibarYe Sharare Ka Tabassum, Ye Khs-e-Atish Sawar