Go Sarapa Kaif-e-Ishrat Hai Sharab-e-ZindagiAshak Bhi Rakhta Hai Daman Mein Sihab-e-Zindagi
Mouj-e-Gham Par Raqs Karta Hai Habab-e-ZindagiHai ‘Alam’ Ka Surah Bhi Juzw-e-Kitab-e-Zindagi
Aik Bhi Patti Agar Kam Ho To Woh Gul Hi NahinJo Khazan Na-Deedah Ho Bulbul, Woh Bulbul Hi Nahin
Arzoo Ke Khoon Se Rangeen Hai Dil Ki DastanNaghma-e-Insaniat Kamil Nahin Ghair Az Faghan
Didah-e-Beena Mein Dagh-e-Gham Charagh-e-Seena HaiRooh Ko Saman-e-Zeenat Aah Ka Aeena Hai
Hadsat-e-Gham Se Hai Insan Ki Fitrat Ko KamalGhazah Hai Aaeena-e-Dil Ke Liye Gard-e-Malal
Gham Jawani Ko Jaga Deta Hai Lutf-e-Khawab SeSaaz Ye Baidar Hota Hai Issi Mazrab Se
Tair-e-Dil Ke Liye Gham Shehpar-e-Parwaz HaiRaaz Hai Insan Ka Dil, Gham Inkashaf-e-Raaz Hai
Gham Nahin Gham, Rooh Ka Ek Naghma-e-Khamosh HaiJo Surood-e-Barbat-e-Hasti Se Hum Aghosh Hai
Shaam Jis Ki Ashnaye Naala-e-‘Ya Rab’ NahinJalwa Pera Jis Ki Shab Mein Ashak Ke Kokab Nahin
Jis Ka Jaam-e-Dil Shikast-e-Gham Se Hai Na-AshnaJo Sada Mast-e-Sharab-e-Aysh-o-Ishrat Hi Raha
Hath Jis Gulcheen Ka Hai Mehfooz Nauk-e-Khar SeIshq Jis Ka Be Khabar Hai Hijar Ke Azaar Se
Kulfat-e-Gham Gharche Uss Ke Rouz-o-Shab Se Door HaiZindagi Ka Raaz Uss Ki Ankh Se Mastoor Hai
Ae Ke Nazm-e-Dehr Ka Idraak Hai Hasil TujheKyun Na Asan Ho Gham-o-Andoh Ki Manzil Tujhe
Ha Abad Ke Nuskha-e-Dairina Ki Tamheed IshqAqal-e-Insani Hai Fani, Zinda-e-Javaid Ishq
Ishq Ke Khursheed Se Sham-e-Ajal Sharminda HaiIshq Souz-e-Zindagi Hai , Ta-Abad Paeenda Hai
Rikhsat-e-Mehboob Ka Maqsad Fana Hota AgarJosh-e-Ulfat Bhi Dil-e-Ashiq Se Kar Jata Safar
Ishq Kuch Mehboob Ke Merne Se Mar Jata NahinRooh Mein Gham Ban Ke Rehta Hai, Magar Jata Nahin
Hai Baqaye Ishq Se Paida Baqa Mehboob KiZindagaani Hai Adam Na-Ashna Mehboob Ki
Ati Hai Naddi Jabeen-e-Koh Se Gati HuwiAsman Ke Taeeron Ko Naghma Sikhlati Huwi
Aaeena Roshan Hai Uss Ka Soorat-e-Rukhsar-e-HoorGir Ke Wadi Ki Chatanon Par Ye Ho Jata Hai Choor
Nehr Jo Thi, Uss Ke Gohar Pyare Pyare Ban GyeYani Uss Uftad Se Pani Ke Tare Ban Gye
Jooye Seemab Rawan Phat Kar Preshan Ho GyiMuztarib Boondon Ki Ek Dunya Namayan Ho Gyi
Hijar, In Qatron Ko Lekin Wasal Ki Taleem HaiDo Qadam Par Phir Wohi Joo Misl-e-Taar-e-Seem
Aik Asliat Mein Hai Nehr-e-Rawan-e-ZindagiGir Ke Riffat Se Hajoom-e-Noo-e-Insan Ban Gayi
Pasti -e-Alam Mein Milne Ko Juda Hote Hain HumAarzi Furqat Ko Dayem Jaan Kar Rote Hain Hum
Merne Wale Merte Hain Lekin Fana Hote NahinYe Haqiqat Mein Kabhi Hum Se Juda Hote Nahin
Aqal Jis Dam Dehr Ki Aafaat Mein Mehsoor HoYa Jawani Ki Andheri Raat Mein Mastoor Ho
Daman-e-Dil Ban Gya Ho Razmgah-e-Khair-o-SharRah Ki Zulmat Se Ho Mushkil Sooye Manzil Safar
Khizr-e-Himmat Ho Gya Ho Arzoo Se Gosha-GeerFikr Jab Aajiz Ho Aur Khamosh Awaz-e-Zameer