Ae Chand! Husn Tera Fitrat Ki Aabru HaiTof-e-Hareem-e-Khaki Teri Qadeem Khu Hai
Ye Dagh Sa Jo Tere Seene Mein Hai NamayanAshiq Hai Tu Kisi Ka, Ye Dagh-e-Arzu Hai?
Mein Mutarib Zameen Par, Betab Tu Falak ParTujh Ko Bhi Justujoo Hai, Mujh Ko Bhi Justujoo Hai
Insan Hai Shama Jis Ki, Mehfil Wohi Hai Teri?Main Jis Taraf Rawan Hun, Manzil Wohi Hai Teri?
Tu Dhoondta Hai Jis Ko Taron Ki Khamashi MeinPoshida Hai Woh Shaid Ghoghaye Zindagi Mein
Istada Saru Mein Hai, Sabze Mein So Raha HaiBulbul Mein Naghma-Zan Hai, Khamosh Hai Kali Mein
Aa ! Mein Tujhe Dikhaon Rukhsar-e-Roshan Uss KaNehron Ke Aaeene Mein, Shabnam Ki Aarasi Mein
Sehra-o-Dasht-o-Dar Mein, Kuhsar Mein Wohi HaiInsan Ke Dil Mein, Tere Rukhsar Mein Wohi Hai