Urta Jata Tha Aur Na Tha KoiJan’ane Wala Charakh Par Mera
Tare Hairat Se Dekhte The MujheRaaz-e-Sar Basta Tha Safar Mera
Kya Sunaon Tumhain Irm Kya HaiKhatam-e-Arzoo-e-Didah-o-Ghosh
Shakh-e-Tooba Pe Naghma Raiz TuyoorBe-Hijabana Hoor Jalwa Farosh
Saqiyan-e-Jameel Jaam BadastPeene Walon Mein Shor-e-Nosha Nosh
Door Jannat Se Ankh Ne DekhaAik Tareek Khana, Sard-o-Khamosh
Taala’e Qais Wa Gaisu-e-LailaUss Ki Tareekiyon Se Dosh Ba Dosh
Khunk Aesa Ke Jis Se Sharma KarKurra-e-Zamhareer Ho Ru-Posh
Main Ne Puchi Jo Kaifiat Uss KiHiarat Angaiz Tha Jawab-e-Sarosh
Shaole Hote Hain Musta’ar Iss KeJin Se Larzan Hain Mard-e-Ibrat Kosh
Ahl-e-Dunya Yahan Jo Ate HainApne Angaar Saath Late Hain