رمزِ زندگیRamz E Zindagi

رام

Nazm · Allama Iqbal · علامہ اقبال · 6 sher · Roman Urdu ke saath

Labraiz Hai Sharab-e-Haqiqat Se Jam-e-HindSub Falsafi Hain Khita-e-Maghrib Ke Raam-e-Hind
Ye Hindiyon Ke Fikr-e-Falak Ras Ka Hai AsarRiffat Mein Asman Se Bhi Uncha Hai Baam-e-Hind
Iss Dais Mein Huwe Hain Hazaron Malak SarashtMashoor Jin Ke Dam Se Hai Dunya Mein Naam-e-Hind
Hai Raam Ke Wujood Pe Hindustan Ko NaazAhl-e-Nazar Samajhte Hain Uss Ko Imam-e-Hind
Ejaz Uss Charagh-e-Hadayat Ka Hai YehiRoshan Tar Az Sehar Hai Zamane Mein Sham-e-Hind
Talwar Ka Dhani Tha, Shujaat Mein Fard ThaPakeezgi Mein, Josh-e-Mohabbat Mein Fard Tha