رمزِ زندگیRamz E Zindagi

غرہ شوال

Nazm · Allama Iqbal · علامہ اقبال · 18 sher · Roman Urdu ke saath

Gurrah-e-Shawwal! Ae Noor-e-Nigah-e-RozadarAa Ke The Tere Liye Muslim Sarapa Intizar
Teri Peshani Pe Tehreer-e-Payam-e-Eid HaiSham Teri Kya Hai, Subah-e-Aysh Ki Tamheed Hai
Sargazasht-e-Millat-e-Baiza Ka Tu Aaeena HaiAe Mah-e-Nau! Hum Ko Tujh Se Ulfat-e-Dairina Hai
Jis Ilm Ke Saye Mein Taigh Azma Hote The HumDushmanon Ke Khoon Se Rangeen Qaba Hote The Hum
Teri Qismat Mein Hum Aghoshi Ussu Raayat Ki HaiHusn-e-Roz Afzoon Se Tere Aabru Millat Ki Hai
Ashana Parwar Hai Qoum Apni, Wafa Aaeen TeraHai Muhabbat Khaiz Ye Pairhan-e-Seemeen Tera
Dekh Kar Tujh Ko Ufaq Par Hum Lutate The GuharAe Tehi Saghar! Humari Aaj Nadari Bhi Dekh
Dekh Masjid Mein Shikast-e-Rishta-e-Tasbeeh-e-SheikhBut Kade Mein Barhaman Ki Pukhta Zunnari Bhi Dekh
Barish-e-Sang-e-Hawadis Ka Tamashayi Bhi HoUmmat-e-Marhoom Ki Aaeena Deewari Bhi Dekh
Jis Ko Hum Ne Ashna Lutf-e-Takallum Se KiyaUss Hareef-e-Bezuban Ki Garm Guftari Bhi Dekh
Soorat-e-Aaeena Sub Kuch Dekh Aur Khamosh RehSourish-e-Amroz Mein Mehw-e-Surood-e-Dosh Reh