شا عر
Nazm · Allama Iqbal · علامہ اقبال · 8 sher · Roman Urdu ke saath
Jooye Surood Afreen Ati Hai Kohsar SePi Ke Sharab-e-Lala Goon Mai Kada-e-Bahar Se
Mast-e-Mai-e-Kharaam Ka Sun To Zara Payam TuZinda Wohi Hai Kaam Kuch Jis Ko Nahin Qarar Se
Phirti Hai Wadiyon Mein Kya Dukhtar-e-Khush Kharaam-e-AbarKarti Hai Ishq Baziyan Sabza-e-Murghzar Se
Jaam-e-Sharab Koh Ke Khum Kade Se Urati HaiPast-o-Buland Kar Ke Tae Khaiton Ko Ja Pilati Hai
Shayar-e-Dil Nawaz Bhi Baat Agar Kahe KhariHoti Hai Uss Ke Faiz Se Mazra-e-Zindagi Hari
Shan-e-Khalil Hoti Hai Uss Ke Kalam Se AyanKarti Hai Uss Ki Qoum Jab Apna Shiaar Azari
Ahl-e-Zameen Ko Nuskha-e-Zindagi-e-Dawam HaiKhoon-e-Jigr Se Tarbiat Pati Hai Jo Sukhanwari
Gulshan-e-Dehr Mein Agar Jooye Mai-e-Sukhan Na HoPhool Na Ho, Kali Na Ho, Sabza Na Ho, Chaman Na Ho