شبنم اور ستارے
Nazm · Allama Iqbal · علامہ اقبال · 14 sher · Roman Urdu ke saath
Ek Raat Ye Kehne Lage Shabnam Se SitareHar Subah Naye Tujh Ko Mayassar Hain Nazare
Kya Janiye, Tu Kitne Jahan Dekh Chuki HaiJo Ban Ke Mite, Un Ke Nishan Dekh Chuki Hai
Zohra Ne Suni Hai Ye Khabar Aik Malik SeInsanon Ki Basti Hai Bohat Door Falak Se
Keh Hum Se Bhi Uss Kishwar-e-Dilkash Ka FasanaGata Hai Qamar Jis Ki Mohabbat Ka Tarana
Ae Taro Na Pucho Chamanistan-e-Jahan KiGulshan Nahin, Ek Basti Hai Woh Aah-o-Faghan Ki
Ati Hai Saba Waan Se Palat Jane Ki KhatirBechari Kali Khilti Hai Murjhane Ki Khatir
Kya Tum Se Kahun Kya Chaman Afroz Kali HaiNanha Sa Koi Shaola Besouz Kali Hai
Gul-e-Nala-e-Bulbul Ki Sada Sun Nahin SaktaDaman Se Mere Motiyon Ko Chun Nahin Sakta
Hain Murgh-e-Nawa Raiz Giraftar, Ghazab HaiUgte Hai Teh-e-Saya-e-Gul Khar, Ghazab Hai
Rehti Hai Sada Nargis-e-Bimaar Ki Tar AankhDil Talib-e-Nazara Hai, Mehroom-e-Nazar Ankh
Dil Soukhta-e-Garmi-e-Faryad Hai ShamshadZindani Hai Aur Naam Ko Azad Hai Shamshad
Tare Sharar-e-Aah Hain Insan Ki Zuban MeinMein Girya-e-Gardoon Hun Gulistan Ki Zuban Mein
Nadani Hai Ye Gard-e-Zameen Touf Qamar KaSamjha Hai Ke Darman Hai Wahan Dagh Jigar Ka
Bunyad Hai Kashana-e-Alam Ki Hawa ParFaryad Ki Tasveer Hai Qartas-e-Faza Par