رمزِ زندگیRamz E Zindagi

غلام قادر رہيلہ

Nazm · Allama Iqbal · علامہ اقبال · 13 sher · Roman Urdu ke saath

Ruhela Kis Qadar Zalim, Jafa Joo, Keena Parwar ThaNikalain Shah-e-Taimoori Ki Ankhain Nauk-e-Khanjar Se
Diya Ahl-e-Haram Ko Raqs Ka Farman Sitamgar NeYe Andaz-e-Sitam Kuch Kam Na Tha Asaar-e-Mehshar Se
Bhala Tameel Iss Farman-e-Ghairat Kush Ki Mumkin Thi!Shahenshahi Haram Ki Nainaan-e-Saman Bar Se
Banaya Ah! Saman-e-Tarab Bedard Ne Un KoNihan Tha Husn Jin Ka Chasm-e-Mehr-o-Mah-o-Akhtar Se
Larazte The Dil-e-Nazuk, Qadam Majboor-e-Junbish TheRawan Darya-e-Khoon, Shehzadiyon Ke Dida-e-Tar Se
Yunhi Kuch Dair Tak Mehw-e-Nazar Ankhain Raheen Uss KiKiya Ghabra Ke Phir Azad Sar Ko Baar-e-Mighfar Se
Qamar Se, Uth Ke Taigh-e-Jaan Satan, Aatish Fashan KholiSabaq Aamoz-e-Tabani Hun Anjum Jis Ke Jouhar Se
Rakha Khanjar Ko Agay Aur Phir Kuch Soch Kar LetaTaqaza Kar Rahi Thi Neend Goya Chasm-e-Ahmar Se
Phir Utha Aur Taimoori Haram Se Yun Laga KehneShikayat Chahye Tum Ko Na Kuch Apne Muqaddar Se
Mera Masnad Pe Sou Jana Banawat Thi, Takaluf ThaKe Ghaflat Door Hai Shaan-e-Saf Aryaan-e-Lashkar Se
Ye Maqsad Tha Mera Iss Se, Koi Taimoor Ki BetiMujhe Ghafil Samajh Kar Maar Dale Mere Khanjar Se
Magar Ye Raaz Akhir Khul Gya Sare Zamane ParHamiyyat Naam Ha Jis Ka, Gyi Taimoor Ke Ghar Se