رمزِ زندگیRamz E Zindagi

پھر چراغ لالہ سے روشن ہوئے کوہ و دمن

Ghazal · Allama Iqbal · علامہ اقبال · 9 sher · Roman Urdu ke saath

phir charāġh-e-lāla se raushan hue koh o damanmujh ko phir naġhmoñ pe uksāne lagā murġh-e-chaman
phuul haiñ sahrā meñ yā pariyāñ qatār andar qatāruude uude niile niile piile piile pairahan
barg-e-gul par rakh ga.ī shabnam kā motī bād-e-sub.haur chamkātī hai us motī ko sūraj kī kiran
husn-e-be-parvā ko apnī be-naqābī ke liyehoñ agar shahroñ se ban pyāre to shahr achchhe ki ban
apne man meñ Duub kar pā jā surāġh-e-zindagītū agar merā nahīñ bantā na ban apnā to ban
man kī duniyā man kī duniyā soz o mastī jazb o shauqtan kī duniyā tan kī duniyā suud o saudā makr o fan
man kī daulat haath aatī hai to phir jaatī nahīñtan kī daulat chhāñv hai aatā hai dhan jaatā hai dhan
man kī duniyā meñ na paayā maiñ ne afrañgī kā raajman kī duniyā meñ na dekhe maiñ ne shaiḳh o barhaman
paanī paanī kar ga.ī mujko qalandar kī ye baattū jhukā jab ġhair ke aage na man terā na tan