Staiza Kaar Raha Hai Azal Se Ta AmrozCharagh-e- Mustafavi (S.A.W.) Se Sharar-e-Bu-Lahbi
Hayat Shaola Mazaj-o-Ghayoor-o-Shor AngaizSarisht Iss Ki Hai Muskhil-Kashi, Jafa-Talbi
Sukoot-e-Shaam Se Ta Naghma-e-SehargahiHazar Marhala Haye Faghan-e-Neem-Shabi
Kasha-Kashe Zam-o-Garma, Tab-o-Tarash-o-KharashZa-Khak-e-Teer Darun Ta Ba Sheesha-e-Jalbi
Maqam-e-Bast-o-Shikast-o-Fashar-o-Souz-o-KasheedMayan-e-Qatra-e-Neesan-o-Aatish-e-Ghibi
Issi Kasha-Kash-e-Peham Se Zinda Hain AqwamYehi Hai Raaz-e-Tab-o-Taab-e-Millat-e-Arabi
“Maghan Ke Dana-e-Angoor Aab Mee SazandSitara Mee Shaknand, Aftab Mee Saazand”