Na Saliqa Mujh Mein Kaleem Ka Na Qareena Tujh Mein Khalil KaMein Halak-e-Jadoo-e-Samri, Tu Qateel-e-Shewa-e-Azari
Main Nawaye Soukhta Dar Guloo, Tu Parida Rang, Ramida BuMein Hikayat-e-Gham-e-Arzoo, Tu Hadees-e-Matam-e-Dilbari
Mera Aysh Gham, Mera Shehad Samm, Meri Bood Hum Nafas-e-AdamTera Dil Haram, Girv-e-Ajam, Tera Deen Khareeda-e-Kafiri
Dam Zindagi Ram-e-Zindagi, Gham-e-Zindagi Sam-e-ZindagiGham-e-Ram Na Kar, Sam-e-Gham Na Kha Ke Yehi Hai Shan-e-Qalandari
Teri Khak Mein Hai Agar Sharar To Khiyal-e-Faqr-o-Ghana Na KarKe Jahan Mein Naan-e-Shaeer Par Hai Madar-e-Quwwat-e-Haidari
Koi Aesi Tarz-e-Tawaaf Tu Mujhe Ae Charagh-e-Haram Bata!Ke Tere Patang Ko Phir Atta Ho Wohi Sarisht-e-Samundari
Gila-e-Jafaye Wafa Nama Ke Haram Ko Ahl-e-Haram Se HaiKisi Butkude Mein Byan Krun To Kahe Sanam Bhi ‘Hari Hari’
Na Sataiza-Gah-e-Jahan Nayi Na Hareef-e-Panja Faggan NayeWohi Fitrat-e-Asadullahi, Wohi Marhabi, Wohi Aantari
Karam Ae Shah (S.A.W.) -e-Arab-o-Ajam Ke Khare Hain Muntazir-e-KaramWoh Gaza Ke Tu Ne Atta Kiya Hai Jinhain Damagh-e-Sikandari