رمزِ زندگیRamz E Zindagi

طلوع اسلام

Nazm · Allama Iqbal · علامہ اقبال · 30 sher · Roman Urdu ke saath

Daleel-E-Subah-E-Roshan Hai Sitaron Ki Tunak TabiUfaq Se Aftab Ubhra, Gya Dour-E-Garan Khawabi
Urooq-E-Murda’ay Mashriq Mein Khoon-E-Zindagi DoraSamajh Sakte Nahin Iss Raaz Ko Seena-O-Farabi
Musalman Ko Musalman Kar Diya Toofan-E-Maghrib NeTalatum Haye Darya Hi Se Hai Gohar Ki Seerabi
Atta Momin Ko Phir Dargah-E-Haq Se Hone Wala HaiShikoh-E-Turkamani, Zehan-E-Hindi, Nutq-E-Arabi
Asar Kuch Khawab Ka Ghunchon Mein Baqi Hai To Ae Bulbul !“Nawa Ra Talakh Tar Mee Zan Choo Zauq-E-Nagma Kmyabi”
Tarap Sehan-E-Chaman Mein, Ashiyan Mein, Shakhsaron MeinJuda Pare Se Ho Sakti Nahin Taqdeer-E-Seemabi
Woh Chashm-E-Paak Been Kyun Zeenat-E-Bargistawan DekheNazar Ati Hai Jis Ko Mard-E-Ghazi Ki Jigar Tabi
Zameer-E-Lala Mein Roshan Charagh-E-Arzoo Kar DeChaman Ke Zarre Zarre Ko Shaheed-E-Justujoo Kar De
Sar Shak-E-Chashm-E-Muslim Mein Hai Neesan Ka Asar PaidaKhalil-Allah (A.S.) Ke Darya Mein Hon Ge Phir Guhar Paida
Kitab-E-Millat-E-Baiza Ki Phir Sheeraza Bandi HaiYe Shakh-E-Hashmi Karne Ko Hai Phir Barg-E-Bar Paida
Rubood Aan Turk Sheerazi Dil-E-Tabraiz-O-Kabil RaSaba Karti Hai Buay Gul Se Apna Hamsafar Paida
Agar Usmaniyon Par Koh-E-Gham Toota To Kya Gham HaiKe Khoon-E-Sad Hazar Anjum Se Hoti Hai Sahar Paida
Jahan Baani Se Hai Dushwar Tar Kar-E-Jahan BeeniJigar Khoon Ho To Chashm-E-Dil Mein Hoti Hai Nazar Paida
Hazaron Saal Nargis Apni Benoori Pe Roti HaiBari Mushkil Se Hota Hai Chaman Mein Didahwar Paida
Nawa Pera Ho Ae Bulbul Ke Ho Tere Taranum SeKabootar Ke Tan-E-Nazuk Mein Shaheen Ka Jigar Paida
Tere Seene Mein Hai Poshida Raaz-E-Zindagi Keh DeMusalman Se Hadees-E-Soz-O-Saaz-E-Zindagi Keh De
Khuda’ay Lam Yazil Ka Dast-E-Qudrat Tu, Zuban Tu HaiYaqeen Paida Kar Ae Ghafil Ke Maghloob-E-Guman Tu Hai
Pare Hai Charakh-E-Neeli Faam Se Manzil Musalman KiSitare Jis Ki Gard-E-Rah Hon, Woh Karwan Tu Hai
Hina Band-E-Uroos-E-Lala Hai Khoon-E-Jigar TeraTeri Nisbat Baraheemi Hai, Mamaar-E-Jahan Tu Hai
Teri Fitrat Ameen Hai Mumkanat-E-Zindagani KiJahan Ke Johar-E-Muzmar Ka Goya Imtihan Tu Hai
Jahan-E-Aab-O-Gil Se Alam-E-Javed Ki KhatirNabuwat Sath Jis Ko Le Gyi Woh Armgahan Tu Hai
Ye Nukta Sargazhat-E-Millat-E-Baiza Se Hai PaidaKe Aqwam-E-Zameen-E-Asia Ka Pasban Tu Hai
Yehi Maqsood-E-Fitrat Hai, Yehi Ramz-E-MuslamaniAkhuwat Ki Jahangeeri, Mohabat Ki Farawani
Butan-E-Rang-O-Khoon Ko Torh Kar Millat Mein Gum Ho JaNa Toorani Rahe Baqi, Na Irani Na Afghani
Miyan-E-Shakhsaran Sohbat-E-Murgh-E-Chaman Kab Talak!Tere Bazu Mein Hai Parwaz-E-Shaheen-E-Kehsatani
Guman Abad-E-Hasti Mein Yaqeen Mard-E-Musalman KaByaban Ki Shab-E-Tareek Mein Qindeel-E-Rahbani
Mitaya Qaisar-E-Kasra Ke Istabdad Ko Jis NeWoh Kya Tha, Zor-E-Haider (R.A.), Faqr-E-Bu Zar (R.A.), Sidq-E-Salmani (R.A.)
Huway Ahrar-E-Millat Jadah Pema Kis Tajamul SeTamashayi Shagaaf-E-Dar Se Hain Sadiyon Ke Zindani