رمزِ زندگیRamz E Zindagi

يہ سرود قمري و بلبل فريب گوش ہے

Nazm · Allama Iqbal · علامہ اقبال · 6 sher · Roman Urdu ke saath

Ye Surood-e-Qumri-o-Bulbul Faraib-e-Gosh HaiBatin-e-Hangama Abad-e-Chaman Khamosh Hai
Tere Pemanon Ka Hai Ye Ae Mai-e-Maghrib AsarKhanda-Zan Saqi Hai, Sari Anjuman Be-Hosh Hai
Dehr Ke Gham Khane Mein Tera Pata Milta NahinJurm Tha Kya Afreenish Bhi Ke Tu Ru-Posh Hai
Ah, Dunya Dil Samajhti Hai Jise, Woh Dil NahinPehlu-e-Insan Mein Ek Hangama-e-Khamosh Hai
Zindagi Ki Rah Mein Chal, Lekin Zara Bach Bach Ke ChalYe Samajh Le Koi Meena Khana Bar-e-Dosh Hai
Jis Ke Dam Se Dilli-o-Lahore Hum Pehlu HuweAh, Ae Iqbal! Woh Bulbul Bhi Ab Khamosh Hai