ترے عشق کی انتہا چاہتا ہوں
Ghazal · Allama Iqbal · علامہ اقبال · 6 sher · Roman Urdu ke saath
tire ishq kī intihā chāhtā huuñmirī sādgī dekh kyā chāhtā huuñ
sitam ho ki ho vada-e-be-hijābīkoī baat sabr-āzmā chāhtā huuñ
ye jannat mubārak rahe zāhidoñ koki maiñ aap kā sāmnā chāhtā huuñ
zarā sā to dil huuñ magar shoḳh itnāvahī lan-tarānī sunā chāhtā huuñ
koī dam kā mehmāñ huuñ ai ahl-e-mahfilcharāġh-e-sahar huuñ bujhā chāhtā huuñ
bharī bazm meñ raaz kī baat kah dībaḌā be-adab huuñ sazā chāhtā huuñ