علم و عشق
Nazm · Allama Iqbal · علامہ اقبال · 8 sher · Roman Urdu ke saath
Ilm Ne Mujh Se Kaha Ishq Hai Diwana-PanIshq Ne Mujh Se Kaha Ilm Hai Takhmeen-o-Zan
Band-e-Takhmeen-o-Zan! Kirm-e-Kitabi Na BanIshq Sarapa Huzoor, Ilm Sarapa Hijab!
Ishq Ki Garmi Se Hai Maarka-e-KainatIlm Maqam-e-Sifat, Ishq Tamasha-e-Zaat
Ishq Sukoon-o-Sabat,Ishq Hayat-o-MamatIlm Hai Paida Sawal, Ishq Hai Pinhan Jawab!
Ishq Ke Hain Maujazat Saltanat-o-Faqr-o-DeenIshq Ke Adna Ghulam Sahib-e-Taj-o-Nageen
Ishq Makan-o-Makeen, Ishq Zaman-o-ZameenIshq Sarapa Yaqeen, Aur Yaqeen Fatah-e-Bab!
Shara-e-Mohabbat Mein Hai Ishrat-e-Manzil HaraamShorish-e-Toofan Halal, Lazzat-e-Sahil Haraam
Ishq Pe Bijli Halal, Ishq Pe Hasil HaraamIlm Hai Ibn-Ul-Kitab, Ishq Umm-Ul-Kitab!