جاويد سے
Nazm · Allama Iqbal · علامہ اقبال · 30 sher · Roman Urdu ke saath
Gharat Gar-e-Deen Hai Ye ZamanaHai Uss Ki Nihad Kafirana
Sar Chashma-e-Zindagi Huwa KhushkBaqi Hai Kahan Mai-e-Shabana
Jis Ghar Ka Magar Charagh Hai TuHai Uss Ka Mazaq Arifana
Johar Mein Ho ‘ LA ILAH ’ To Kya KhofTaleem Ho Go Farangiyana
Shakh-e-Gul Par Chehak Wa-LekinKar Apni Khudi Mein Ashiyana!
Woh Behar Hai Admi Ke Jis KaHar Qatra Hai Behar-e-Baikarana
“Ghafil Mansheen Na Waqt-e-Bazi SatWaqt-e-Hunar Ast-o-Kaar Saazi Sat”
Seene Meinagar Na Ho Dil-e-GaramReh Jati Hai Zindagi Mein Khami
Nakhcheer Agar Ho Zeerak-o-ChustAti Nahin Kaam Kuhna Dami
Hai Aab-e-Hayat Issi Jahan MeinShart Iss Ke Liye Hai Tashna Kami
Ghairat Hai Tareeqat-e-HaqiqatGhairat Se Hai Faqr Ki Tamami
Ae Jaan-e-Padar! Nahin Hai MumkinShaheen Se Tadaro Ki Ghulami
Hai Meri Bisat Kya Jahan MeinBus Aik Faghan-e-Ziar Bami
Ek Sidq-e-Maqal Hai Ke Jis SeMain Chashm-e-Jahan Mein Hun Garami
Apne Noor-Enazar Se Kya KhoobFarmate Hain Hazrat-e-Nizami
“Jaye Ke Buzurg Bayadat BoodFarzandi Man Nadaradat Sood”
Momin Pe Garan Hain Ye Shab-o-RozDeen-o-Doulat, Qimar Bazi !
Himmat Ho Agar To Dhoond Woh FaqrJis Faqr Ki Asal Hai Hijazi
Hasil Uss Ka Shikwa-e-MehmoodFitrat Mein Agar Na Ho Ayazi