رمزِ زندگیRamz E Zindagi

مٹا ديا مرے ساقي نے عالم من و تو

Ghazal · Allama Iqbal · علامہ اقبال · 7 sher · Roman Urdu ke saath

Mitta Diya Mere Saqi Ne Alam-E-Mann-o-TuPila Ke Mujh Ko Mai-e-‘La ILLAHA ILLAH HOO’
Na Mai, Na Shair, Na Saqi, Na Shor-E-Ching-o-RababSakoot-e-Koh-o-Lab-e-Jooy-e-Lala’ay Khudroo !
Gada’ay May Kudah Ki Shan-e-Be-Niazi DekhPohanch Ke Chashma’ay Hiwan Pe Torhta Hai Saboo !
Mera Saboocha Ghanimat Hai Iss Zamane MeinKe Khanqah Mein Khali Hain Sufiyon Ke Kadoo
Agarcha Behar Ki Moujon Mein Hai Maqam Uss KaSafa’ay Paki Tiniat Se Hai Guhar Ka Wazoo
Jameel Tar Hain Gul-o-Lala Faiz Se Uss KeNigah-e-Shayar-e-Rangeen Nawa Mein Hai Jadoo