خرد نے مجھ کو عطا کي نظر حکيمانہ
Ghazal · Allama Iqbal · علامہ اقبال · 7 sher · Roman Urdu ke saath
Khirad Ne Mujh Ko Atta Ki Nazar HakeemanaSikhai Ishq Ne Mujh Ko Hadees-e-Rindana
Na Bada Hai, Na Soorahi, Na Dour-e-PemanaFaqt Nigah Se Rangeen Hai Bazm-e-Janana
Meri Nuwa-e-Preshan Ko Shayari Na SamajhKe Main Hun Mehram-e-Raaz-e-Darun-e-Maikhana
Kali Ko Dekh Ke Hai Tashna-e-Naseem-e-SeharIssi Mein Hai Mere Dil Ka Tamam Afsana
Koi Bataye Mujhe Ye Ghayaab Hai Ke HuzoorSub Ashna Hain Yahan, Aik Main Hun Begana
Farang Mein Koi Din Aur Bhi Thehar JaunMere Junoon Ko Sanbhale Agar Ye Werana
Maqam-e-Aqal Se Asan Guzar Gya IqbalMaqam-e-Shauq Mein Khoya Gya Woh Farzana