کريں گے اہل نظر تازہ بستياں آباد
Ghazal · Allama Iqbal · علامہ اقبال · 7 sher · Roman Urdu ke saath
Karain Ge Ahl-e-Nazar Taza Bastiyan AbadMeri Nigah Nahin Soo’ay Kufa-o-Baghdad
Ye Madrasa, Ye Jawan, Ye Suroor-o-RinayiInhi Ke Dam Se Hai Maikhana-e-Farang Abad
Na Falsafi Se, Na Mullah Se Hai Gharz Mujh KoYe Dil Ki Mout, Woh Andaisha-o-Nazar Ka Fasad
Faqeeh-e-Shehar Ki Tehqeer! Kya Majal MeriMagar Ye Baat Ke Main Dhoondta Hun Dil Ki Kushad
Khareed Sakte Hain Dunya Mein Ishrat-e-ParwaizKhuda Ki Dayn Hai Sarmaya-e-Gham-e-Farhad
Kiye Hain Faash Rumooz-e-Qalandari Main NeKe Fikar-e-Madrasa-o-Khanqah Ho Azad
Rishi Ke Faqon Se Toota Na Barhaman Ka TilismAssa Na Ho To Kaleemi Hai Kaar-e-Bebunyad