رمزِ زندگیRamz E Zindagi

دل کو سکون روح کو آرام آ گیا

Ghazal · Jigar Moradabadi · جگر مرادآبادی · 9 sher · Roman Urdu ke saath

dil ko sukūn ruuh ko ārām aa gayāmaut aa ga.ī ki dost kā paiġhām aa gayā
jab koī zikr-e-gardish-e-ayyām aa gayābe-iḳhtiyār lab pe tirā naam aa gayā
ġham meñ bhī hai surūr vo hañgām aa gayāshāyad ki daur-e-bāda-e-gulfām aa gayā
dīvāngī ho aql ho ummīd ho ki yaasapnā vahī hai vaqt pe jo kaam aa gayā
dil ke muāmlāt meñ nāseh shikast kyāsau baar husn par bhī ye ilzām aa gayā
sayyād shādmāñ hai magar ye to soch lemaiñ aa gayā ki saaya tah-e-dām aa gayā
dil ko na pūchh mārka-e-husn-o-ishq meñkyā jāniye ġharīb kahāñ kaam aa gayā
ye kyā maqām-e-ishq hai zālim ki in dinoñaksar tire baġhair bhī ārām aa gayā
ahbāb mujh se qat-e-ta.alluq kareñ 'jigar'ab āftāb-e-zīst lab-e-bām aa gayā