رمزِ زندگیRamz E Zindagi

جہل خرد نے دن یہ دکھائے

Ghazal · Jigar Moradabadi · جگر مرادآبادی · 11 sher · Roman Urdu ke saath

jehl-e-ḳhirad ne din ye dikhā.eghaT ga.e insāñ baḌh ga.e saa.e
haa.e vo kyūñkar dil bahlā.eġham bhī jis ko raas na aa.e
zid par ishq agar aa jaa.epaanī chhiḌke aag lagā.e
dil pe kuchh aisā vaqt paḌā haibhāge lekin raah na paa.e
kaisā majāz aur kaisī haqīqatapne hī jalve apne hī saa.e
jhūTī hai har ek masarratruuh agar taskīn na paa.e
kār-e-zamāna jitnā jitnābantā jaa.e bigaḌtā jaa.e
zabt-e-mohabbat shart-e-mohabbatjī hai ki zālim umDā aa.e
husn vahī hai husn jo zālimhaath lagā.e haath na aa.e
naġhma vahī hai naġhma ki jis koruuh sune aur ruuh sunā.e
rāh-e-junūñ āsān huī haizulf o mizha ke saa.e saa.e