جہل خرد نے دن یہ دکھائے
Ghazal · Jigar Moradabadi · جگر مرادآبادی · 11 sher · Roman Urdu ke saath
jehl-e-ḳhirad ne din ye dikhā.eghaT ga.e insāñ baḌh ga.e saa.e
haa.e vo kyūñkar dil bahlā.eġham bhī jis ko raas na aa.e
dil pe kuchh aisā vaqt paḌā haibhāge lekin raah na paa.e
kaisā majāz aur kaisī haqīqatapne hī jalve apne hī saa.e
naġhma vahī hai naġhma ki jis koruuh sune aur ruuh sunā.e