رمزِ زندگیRamz E Zindagi

جو اب بھی نہ تکلیف فرمائیے گا

Ghazal · Jigar Moradabadi · جگر مرادآبادی · 17 sher · Roman Urdu ke saath

jo ab bhī na taklīf farmā.iyegāto bas haath malte hī rah jā.iyegā
nigāhoñ se chhup kar kahāñ jā.iyegājahāñ jā.iyegā hameñ pā.iyegā
mirā jab burā haal sun pā.iyegāḳhirāmāñ ḳhirāmāñ chale ā.iyegā
miTā kar hameñ aap pachhtā.iyegākamī koī mahsūs farmā.iyegā
nahīñ khel nāseh junūñ kī haqīqatsamajh lījiyegā to samjhā.iyegā
hameñ bhī ye ab dekhnā hai ki ham parkahāñ tak tavajjoh na farmā.iyegā
sitam ishq meñ aap āsāñ na samjheñtaḌap jā.iyegā jo taḌpā.iyegā
ye dil hai ise dil hī bas rahne diijekaram kījiyegā to pachhtā.iyegā
kahīñ chup rahī hai zabān-e-mohabbatna farmā.iyegā to farmā.iyegā
bhulānā hamārā mubārak mubārakmagar shart ye hai na yaad ā.iyegā
hameñ bhī na ab chain aa.egā jab takin āñkhoñ meñ aañsū na bhar lā.iyegā
tirā jazba-e-shauq hai be-haqīqatzarā phir to irshād farmā.iyegā
hamīñ jab na hoñge to kyā rañg-e-mahfilkise dekh kar aap sharmā.iyegā
ye maanā ki de kar hameñ rañj-e-furqatmudāvā-e-furqat na farmā.iyegā
mohabbat mohabbat hī rahtī hai lekinkahāñ tak tabī.at ko behlā.iyegā
na hogā hamārā hī āġhosh ḳhālīkuchh apnā bhī pahlū tahī pā.iyegā
junūñ kī 'jigar' koī had bhī hai āḳhirkahāñ tak kisī par sitam Dhā.iyegā