سب پہ تو مہربان ہے پیارے
Ghazal · Jigar Moradabadi · جگر مرادآبادی · 9 sher · Roman Urdu ke saath
sab pe tū mehrbān hai pyārekuchh hamārā bhī dhyān hai pyāre
aa ki tujh bin bahut dinoñ se ye dilek suunā makān hai pyāre
tū jahāñ naaz se qadam rakh devo zamīn āsmān hai pyāre
muḳhtasar hai ye shauq kī rūdādhar nafas dāstān hai pyāre
apne jī meñ zarā to kar insāfkab se nā-mehrbān hai pyāre
sabr TuuTe hue diloñ kā na letū yūñhī dhaan paan hai pyāre
ham se jo ho sakā so kar guzreab tirā imtihān hai pyāre
mujh meñ tujh meñ to koī farq nahīñishq kyuuñ darmiyān hai pyāre
kyā kahe hāl-e-dil ġharīb 'jigar'TuuTī phūTī zabān hai pyāre