اسے حال و قال سے واسطہ نہ غرض مقام و قیام سے
Ghazal · Jigar Moradabadi · جگر مرادآبادی · 13 sher · Roman Urdu ke saath
use hāl-o-qāl se vāsta na ġharaz maqām-o-qayām sejise koī nisbat-e-ḳhās ho tire husn-e-barq-ḳhirām se
mujhe de rahe haiñ tasalliyāñ vo har ek taaza payām sekabhī aa ke manzar-e-ām par kabhī haT ke manzar-e-ām se
kyuuñ kiyā rahā jo muqābla ḳhatrāt-e-gām-ba-gām sesar-e-bām-e-ishq-e-tamām tak rah-e-shauq-e-nīm-tamām se
na ġharaz kisī se na vāsta mujhe kaam apne hī kaam setire zikr se tirī fikr se tirī yaad se tire naam se
mire sāqiyā mire sāqiyā tujhe marhabā tujhe marhabātū pilā.e jā tū pilā.e jā isī chashm-e-jām-ba-jām se
tirī sub.h-e-aish hai kyā balā tujhe ai falak jo ho hauslakabhī kar le aa ke muqābla ġham-e-hijr-e-yār kī shaam se
mujhe yuuñ na ḳhaak meñ tū milā maiñ agarche huuñ tirā naqsh-e-pātire jalve kī hai baqā mire shauq-e-nām-ba-nām se
tirī chashm-e-mast ko kyā kahūñ ki nazar nazar hai fusūñ fusūñye tamām hosh ye sab junūñ isī ek gardish-e-jām se
ye kitāb-e-dil kī haiñ āyateñ maiñ batā.ūñ kyā jo haiñ nisbateñmire sajda-hā-e-davām ko tire naqsh-hā-e-ḳhirām se
mujhe chāhiye vahī sāqiyā jo baras chale jo chhalak chaletire husn-e-shīsha-ba-dast se tirī chashm-e-bāda-ba-jām se
jo uThā hai dard uThā kare koī ḳhaak us se gilā karejise zid ho husn ke zikr se jise chiḌh ho ishq ke naam se
vahīñ chashm-e-hūr phaḌak ga.ī abhī pī na thī ki bahak ga.īkabhī yak-ba-yak jo chhalak ga.ī kisī rind-e-mast ke jaam se
tū hazār uzr kare magar hameñ rashk hai aur hī kuchh 'jigar'tirī iztirāb-e-nigāh se tire ehtiyāt-e-kalām se