یہ مصرع کاش نقش ہر در و دیوار ہو جائے
Ghazal · Jigar Moradabadi · جگر مرادآبادی · 10 sher · Roman Urdu ke saath
ye misra.a kaash naqsh-e-har-dar-o-dīvār ho jaa.ejise jiinā ho marne ke liye tayyār ho jaa.e
vahī mai-ḳhvār hai jo is tarah mai-ḳhvār ho jaa.eki shīsha toḌ de aur be-piye sarshār ho jaa.e
dil-e-insāñ agar shā.ista-e-asrār ho jaa.elab-e-ḳhāmosh-fitrat hī lab-e-guftār ho jaa.e
har ik be-kār sī hastī ba-rū-e-kār ho jaa.ejunūñ kī rūh-e-ḳhvābīda agar bedār ho jaa.e
sunā hai hashr meñ har aañkh use be-parda dekhegīmujhe Dar hai na tauhīn-e-jamāl-e-yār ho jaa.e
harīm-e-nāz meñ us kī rasā.ī ho to kyūñkar hoki jo āsūda zer-e-sāya-e-dīvār ho jaa.e
ma.āz-allāh us kī vārdāt-e-ġham ma.āz-allāhchaman jis kā vatan ho aur chaman-be-zār ho jaa.e
yahī hai zindagī to zindagī se ḳhud-kushī achchhīki insāñ ālam-e-insāniyat par baar ho jaa.e
ik aisī shaan paidā kar ki bātil thartharā uTThenazar talvār ban jaa.e nafas jhankār ho jaa.e
ye roz o shab ye sub.h o shaam ye bastī ye vīrānasabhī bedār haiñ insāñ agar bedār ho jaa.e