اب تو یہ بھی نہیں رہا احساس
Ghazal · Jigar Moradabadi · جگر مرادآبادی · 11 sher · Roman Urdu ke saath
ab to ye bhī nahīñ rahā ehsāsdard hotā hai yā nahīñ hotā
ishq jab tak na kar chuke rusvāaadmī kaam kā nahīñ hotā
TuuT paḌtā hai daf.atan jo ishqbesh-tar der-pā nahīñ hotā
vo bhī hotā hai ek vaqt ki jabmā-sivā mā-sivā nahīñ hotā
haa.e kyā ho gayā tabī.at koġham bhī rāhat-fazā nahīñ hotā
dil hamārā hai yā tumhārā haiham se ye faisla nahīñ hotā
jis pe terī nazar nahīñ hotīus kī jānib ḳhudā nahīñ hotā
maiñ ki be-zār umr bhar ke liyedil ki dam-bhar judā nahīñ hotā
dil ko kyā kyā sukūn hotā haijab koī aasrā nahīñ hotā
ho ke ik baar sāmnā un sephir kabhī sāmnā nahīñ hotā