رمزِ زندگیRamz E Zindagi

اگر نہ زہرہ جبینوں کے درمیاں گزرے

Ghazal · Jigar Moradabadi · جگر مرادآبادی · 23 sher · Roman Urdu ke saath

agar na zohra-jabīnoñ ke darmiyāñ guzreto phir ye kaise kaTe zindagī kahāñ guzre
jo tere aariz o gesū ke darmiyāñ guzrekabhī kabhī vahī lamhe balā-e-jāñ guzre
mujhe ye vahm rahā muddatoñ ki jur.at-e-shauqkahīñ na ḳhātir-e-māsūm par girāñ guzre
har ik maqām-e-mohabbat bahut hī dilkash thāmagar ham ahl-e-mohabbat kashāñ kashāñ guzre
junūñ ke saḳht marāhil bhī terī yaad ke saathhasīñ hasīñ nazar aa.e javāñ javāñ guzre
mirī nazar se tirī justujū ke sadqe meñye ik jahāñ hī nahīñ saiñkaḌoñ jahāñ guzre
hujūm-e-jalva meñ parvāz-e-shauq kyā kahnāki jaise ruuh sitāroñ ke darmiyāñ guzre
ḳhatā-muāf zamāne se bad-gumāñ ho kartirī vafā pe bhī kyā kyā hameñ gumāñ guzre
mujhe thā shikva-e-hijrāñ ki ye huā mahsūsmire qarīb se ho kar vo nā-gahāñ guzre
rah-e-vafā meñ ik aisā maqām bhī aayāki ham ḳhud apnī taraf se bhī bad-gumāñ guzre
ḳhulūs jis meñ ho shāmil vo daur-e-ishq-o-havasna rā.egāñ kabhī guzrā na rā.egāñ guzre
usī ko kahte haiñ jannat usī ko dozaḳh bhīvo zindagī jo hasīnoñ ke darmiyāñ guzre
bahut hasīn manāzir bhī husn-e-fitrat kena jaane aaj tabī.at pe kyuuñ girāñ guzre
vo jin ke saa.e se bhī bijliyāñ laraztī thiiñmirī nazar se kuchh aise bhī āshiyāñ guzre
mirā to farz chaman-bandi-e-jahāñ hai faqatmirī balā se bahār aa.e yā ḳhizāñ guzre
kahāñ kā husn ki ḳhud ishq ko ḳhabar na huīrah-e-talab meñ kuchh aise bhī imtihāñ guzre
bharī bahār meñ tārāji-e-chaman mat pūchhḳhudā kare na phir āñkhoñ se vo samāñ guzre
koī na dekh sakā jin ko vo diloñ ke sivāmuāmlāt kuchh aise bhī darmiyāñ guzre
kabhī kabhī to isī ek musht-e-ḳhāk ke girdtavāf karte hue haft āsmāñ guzre
bahut hasīn sahī sohbateñ guloñ kī magarvo zindagī hai jo kāñToñ ke darmiyāñ guzre
abhī se tujh ko bahut nāgavār haiñ hamdamvo hādsāt jo ab tak ravāñ-davāñ guzre
jinheñ ki dīda-e-shā.ir hī dekh saktā haivo inqilāb tire sāmne kahāñ guzre
bahut aziiz hai mujh ko unheñ kyā yaad 'jigar'vo hādsāt-e-mohabbat jo nā-gahāñ guzre