رمزِ زندگیRamz E Zindagi

اے حسن یار شرم یہ کیا انقلاب ہے

Ghazal · Jigar Moradabadi · جگر مرادآبادی · 15 sher · Roman Urdu ke saath

ai husn-e-yār sharm ye kyā inqalāb haitujh se ziyāda dard tirā kāmyāb hai
āshiq kī be-dilī kā taġhāful nahīñ javābus kā bas ek josh-e-mohabbat javāb hai
terī ināyateñ ki nahīñ nazr-e-jāñ qubūlterī navāzisheñ ki zamāna ḳharāb hai
ai husn apnī hausla-afzā.iyāñ to dekhmaanā ki chashm-e-shauq bahut be-hijāb hai
maiñ ishq-e-be-niyāz huuñ tum husn-e-be-panāhmerā javāb hai na tumhārā javāb hai
mai-ḳhāna hai usī kā ye duniyā usī kī haijis tishna-lab ke haath meñ jām-e-sharāb hai
us se dil-e-tabāh kī rūdād kyā kahūñjo ye na sun sake ki zamāna ḳharāb hai
ai mohtasib na pheñk mire mohtasib na pheñkzālim sharāb hai are zālim sharāb hai
apne hudūd se na baḌhe koī ishq meñjo zarra jis jagah hai vahīñ āftāb hai
vo laakh sāmne hoñ magar is kā kyā ilaajdil māntā nahīñ ki nazar kāmyāb hai
merī nigāh-e-shauq bhī kuchh kam nahīñ magarphir bhī tirā shabāb tirā hī shabāb hai
mānūs-e-e'tibār-e-karam kyuuñ kiyā mujheab har ḳhatā-e-shauq isī kā javāb hai
maiñ us kā ā.īna huuñ vo hai merā ā.īnamerī nazar se us kī nazar kāmyāb hai
tanhā.ī-e-firāq ke qurbān jā.iyemaiñ huuñ ḳhayāl-e-yār hai chashm-e-pur-āb hai
sarmāya-e-firāq 'jigar' aah kuchh na pūchhab jaan hai so apne liye ḳhud azaab hai