رمزِ زندگیRamz E Zindagi

جیتے جی کوچۂ دل دار سے جایا نہ گیا

Ghazal · Mir Taqi Mir · میر تقی میر · 10 sher · Roman Urdu ke saath

jīte-jī kūcha-e-dildār se jaayā na gayāus kī dīvār kā sar se mire saaya na gayā
kāv-kāve mizha-e-yār o dil-e-zār-o-nazārguth ga.e aise shitābī ki chhuḌāyā na gayā
vo to kal der talak dekhtā īdhar ko rahāham se hī hāl-e-tabāh apnā dikhāyā na gayā
garm-rau rāh-e-fanā kā nahīñ ho saktā patañgus se to sham.a-namat sar bhī kaTāyā na gayā
pās-e-nāmūs-e-mohabbat thā ki farhād ke paasbe-sutūñ sāmne se apne uThāyā na gayā
ḳhaak tak kūcha-e-dildār kī chhānī ham nejustujū kī pe dil-e-gum-shuda paayā na gayā
ātish-e-tez judā.ī meñ yakāyak us bindil jalā yuuñ ki tanik jī bhī jalāyā na gayā
mah ne aa sāmne shab yaad dilāyā thā usephir vo tā sub.h mire jī se bhulāyā na gayā
zer-e-shamshīr-e-sitam 'mīr' taḌapnā kaisāsar bhī taslīm-e-mohabbat meñ hilāyā na gayā
jī meñ aatā hai ki kuchh aur bhī mauzūñ kiijedard-e-dil ek ġhazal meñ to sunāyā na gayā