کیا حقیقت کہوں کہ کیا ہے عشق
Ghazal · Mir Taqi Mir · میر تقی میر · 9 sher · Roman Urdu ke saath
kyā haqīqat kahūñ ki kyā hai ishqhaq-shanāsoñ ke haañ ḳhudā hai ishq
dil lagā ho to jī jahāñ se uThāmaut kā naam pyaar kā hai ishq
aur tadbīr ko nahīñ kuchh daḳhlishq ke dard kī davā hai ishq
kyā Dubāyā muhīt meñ ġham keham ne jaanā thā āshnā hai ishq
ishq se jā nahīñ koī ḳhālīdil se le arsh tak bharā hai ishq
ishq hai ishq karne vāloñ kokaisā kaisā baham kiyā hai ishq
kaun maqsad ko ishq bin pahuñchāaarzū ishq mudda.ā hai ishq
'mīr' marnā paḌe hai ḳhūbāñ parishq mat kar ki bad balā hai ishq