اب جو اک حسرت جوانی ہے
Ghazal · Mir Taqi Mir · میر تقی میر · 8 sher · Roman Urdu ke saath
ab jo ik hasrat-e-javānī haiumr-e-rafta kī ye nishānī hai
rashk-e-yūsuf hai aah vaqt-e-azīzumr ik bār-e-kārvānī hai
girya har vaqt kā nahīñ be-hechdil meñ koī ġham-e-nihānī hai
ham qafas-zād qaidī haiñ varnatā chaman ek par-fishānī hai
us kī shamshīr tez hai hamdammar raheñge jo zindagānī hai
ġham-o-rañj-o-alam niko yaañ sesab tumhārī hī mehrbānī hai
ḳhaak thī maujzan jahāñ meñ aurham ko dhokā ye thā ki paanī hai
yaañ hue 'mīr' tum barābar ḳhaakvaañ vahī naaz o sargirānī hai