بدعت مسنون ہو گئی ہے
Nazm · Nazm Tabatabai · نظم طباطبائی · 9 sher · Roman Urdu ke saath
kyā kahnā tirī duā kā zāhidgardūñ kā sutūn ho ga.ī hai
rahne do ajal jo ghaat meñ haimujh par maftūn ho ga.ī hai
hasrat ko ġhubār-e-dil meñ DhūñDozinda madfūn ho ga.ī hai
vahshat kā thā naam avval avvalab to vo junūn ho ga.ī hai
vaa.iz ne burī nazar se dekhāmai shīshe meñ ḳhuun ho ga.ī hai
aariz ke qarīn gulāb kā phuulham-rañg kī duun ho ga.ī hai
'haidar' shab-e-ġham meñ marg-e-nāgāhshādī kā shugūn ho ga.ī hai