کیونکر نہ خاکسار رہیں اہل کیں سے دور
Ghazal · Bahadur Shah Zafar · بہادر شاہ ظفر · 9 sher · Roman Urdu ke saath
kyūñkar na ḳhāksār raheñ ahl-e-kīñ se duurdekho zamīñ falak se falak hai zamīñ se duur
parvāna vasl-e-sham.a pe detā hai apnī jaañkyūñkar rahe dil us ke ruḳh-e-ātishīñ se duur
mazmūn-e-vasl-o-hijr jo naame meñ hai raqamhai harf bhī kahīñ se mile aur kahīñ se duur
go tīr-e-be-gumāñ hai mire paas par abhījaa.e nikal ke sīna-e-charḳh-e-barīñ se duur
vo kaun hai ki jaate nahīñ aap jis ke paaslekin hamesha bhāgte ho tum hamīñ se duur
hairān huuñ ki us ke muqābil ho ā.īnajo pur-ġhurūr khiñchtā hai māh-e-mubīñ se duur
yaañ tak adū kā paas hai un ko ki bazm meñvo baiThte bhī haiñ to mire ham-nashīñ se duur
manzūr ho jo diid tujhe dil kī aañkh sepahuñche tirī nazar nigah-e-dūr-bīñ se duur
duniyā-e-dūñ kī de na mohabbat ḳhudā 'zafar'insāñ ko pheñk de hai ye īmān o diiñ se duur