چال کی رہنمائے عشق نے بھیوہ دکھایا جو تھا مقام خرابchaal kī rahnumā-e-ishq ne bhīvo dikhāyā jo thā maqām ḳharābIshqGhamداغؔ دہلویDagh Dehlvi
دل ناکام کے ہیں کام خرابکر لیا عاشقی میں نام خرابdil-e-nākām ke haiñ kaam ḳharābkar liyā āshiqī meñ naam ḳharābداغؔ دہلویDagh Dehlvi
اس خرابات کا یہی ہے مزہکہ رہے آدمی مدام خرابis ḳharābāt kā yahī hai mazaki rahe aadmī mudām ḳharābداغؔ دہلویDagh Dehlvi
دیکھ کر جنس دل وہ کہتے ہیںکیوں کرے کوئی اپنے دام خرابdekh kar jins-e-dil vo kahte haiñkyuuñ kare koī apne daam ḳharābداغؔ دہلویDagh Dehlvi
ابر تر سے صبا ہی اچھی تھیمیری مٹی ہوئی تمام خرابabr-e-tar se sabā hī achchhī thīmerī miTTī huī tamām ḳharābداغؔ دہلویDagh Dehlvi
کھینچ لے اول ہی سے دل کی عنان اختیارتو نے گر اے عاشق دلگیر پھر کھینچی تو کیاkhīñch le avval hī se dil kī inān-e-iḳhtiyārtū ne gar ai āshiq-e-dil-gīr phir khīñchī to kyāبہادر شاہ ظفرBahadur Shah Zafar
پس مرگ ان پر کھلا حال الفتگئی لے کے روح اپنی پیغام دل کاpas-e-marg un par khulā hāl-e-ulfatga.ī le ke ruuh apnī paiġhām dil kāاکبر الہ آبادیAkbar Allahabadi
کیا تجھ عشق نے عالم کوں مجنوںمجھے تجھ رشک لیلی کی قسم ہےkiyā tujh ishq ne aalam kuuñ majnūñmujhe tujh rashk-e-lailā kī qasam haiولی دکنیWali Dakani
بہت چین سے دن گزرتے ہیں حالیکوئی فتنہ برپا ہوا چاہتا ہےbahut chain se din guzarte haiñ 'hālī'koī fitna barpā huā chāhtā haiالطاف حسین حالیAltaf Hussain Hali