وہ نغمہ سردی خون غزل سرا کی دلیلکہ جس کو سن کے ترا چہرہ تاب ناک نہیںWoh Naghma Sardi-e-Khoon-e-Ghazal Sara Ki DaleelKe Jis Ko Sun Ke Tera Chehra Taabnaak NahinHusnعلامہ اقبالAllama Iqbal
نوا کو کرتا ہے موج نفس سے زہر آلودوہ نے نواز کہ جس کا ضمیر پاک نہیںNawa Ko Karta Hai Mouj-e-Nafs Se Zahr AloodWoh Ne Nawaz Ke Jis Ka Zameer Paak Nahinعلامہ اقبالAllama Iqbal
پھرا میں مشرق و مغرب کے لالہ زاروں میںکسی چمن میں گریبان لالہ چاک نہیںPhira Mein Mashriq-o-Maghrib Ke Lala Zaron MeinKisi Chaman Mein Greban-e-Lala Chaak Nahinعلامہ اقبالAllama Iqbal
نگاہ شوخ و چشم شوق میں در پردہ چھنتی ہےکہ وہ چلمن میں ہیں نزدیک ہم چلمن کے بیٹھے ہیںnigāh-e-shoḳh o chashm-e-shauq meñ dar-parda chhantī haiki vo chilman meñ haiñ nazdīk ham chilman ke baiThe haiñداغؔ دہلویDagh Dehlvi
جس پہ دل آیا ہے وہ شیریں ادا ملتا نہیںزندگی ہے تلخ جینے کا مزا ملتا نہیںjis pe dil aayā hai vo shīrīñ-adā miltā nahīñzindagī hai talḳh jiine kā mazā miltā nahīñاکبر الہ آبادیAkbar Allahabadi
شباب و پیری کا آنا جانا غضب کا پر درد ہے فسانہیہ رہ گئی بن کے گرد حسرت وہ اڑ گیا رخ سے رنگ ہو کرshabāb o piirī kā aanā jaanā ġhazab kā pur-dard hai fasānaye rah ga.ī ban ke gard-e-hasrat vo uḌ gayā ruḳh se rañg ho karنظم طباطبائیNazm Tabatabai
عشق بھی تاک میں بیٹھا ہے نظر بازوں کیدیکھنا شیر سے آنکھیں نہ لڑانا ہرگزishq bhī taak meñ baiThā hai nazar-bāzoñ kīdekhnā sher se āñkheñ na laḌānā hargizالطاف حسین حالیAltaf Hussain Hali