رمزِ زندگیRamz E Zindagi

ادھر دیکھ لینا ادھر دیکھ لینا

Ghazal · Dagh Dehlvi · داغؔ دہلوی · 16 sher · Roman Urdu ke saath

faqat nabz se haal zāhir na hogāmirā dil bhī ai chārāgar dekh lenā
kabhī zikr-e-dīdār aayā to boleqayāmat se bhī pesh-tar dekh lenā
na denā ḳhat-e-shauq ghabrā ke pahlemahal mauqa ai nāma-bar dekh lenā
kahīñ aise bigḌe sañvarte bhī dekhena ā.eñge vo raah par dekh lenā
taġhāful meñ shoḳhī nirālī adā thīġhazab thā vo muñh pher kar dekh lenā
shab-e-va.ada apnā yahī mashġhala thāuThā kar nazar sū-e-dar dekh lenā
bulāyā jo ġhairoñ ko dāvat meñ tum nemujhe pesh-tar apne ghar dekh lenā
mohabbat ke bāzār meñ aur kyā haikoī dil dikhā.e agar dekh lenā
mire sāmne ġhair se bhī ishāreidhar bhī udhar dekh kar dekh lenā
na ho nāzuk itnā bhī mashshāta koīdahan dekh lenā kamar dekh lenā
nahīñ rakhne dete jahāñ paañv ham kousī āstāne pe sar dekh lenā
tamāshā-e-ālam kī fursat hai kis koġhanīmat hai bas ik nazar dekh lenā
diye jaate haiñ aaj kuchh likh ke tum kouse vaqt-e-fursat magar dekh lenā
hamīñ jaan deñge hamīñ mar miTeñgehameñ tum kisī vaqt par dekh lenā
jalāyā to hai 'dāġh' ke dil ko tum nemagar is kā hogā asar dekh lenā