اس ادا سے وہ جفا کرتے ہیں
Ghazal · Dagh Dehlvi · داغؔ دہلوی · 15 sher · Roman Urdu ke saath
is adā se vo jafā karte haiñkoī jaane ki vafā karte haiñ
yuuñ vafā ahd-e-vafā karte haiñaap kyā kahte haiñ kyā karte haiñ
ham ko chheḌoge to pachhtāogehañsne vāloñ se hañsā karte haiñ
nāma-bar tujh ko salīqa hī nahīñkaam bātoñ meñ banā karte haiñ
chaliye āshiq kā janāza uTThāaap baiThe hue kyā karte haiñ
ye batātā nahīñ koī mujh kodil jo aatā hai to kyā karte haiñ
husn kā haq nahīñ rahtā baaqīhar adā meñ vo adā karte haiñ
rote haiñ ġhair kā ronā pahroñye hañsī mujh se hañsā karte haiñ
is liye dil ko lagā rakkhā haiis meñ mahbūb rahā karte haiñ
tum miloge na vahāñ bhī ham sehashr se pahle gila karte haiñ
jhāñk kar rauzan-e-dar se mujh kokyā vo shoḳhī se hayā karte haiñ
us ne ehsān jatā kar ye kahāaap kis muñh se gila karte haiñ
roz lete haiñ nayā dil dilbarnahīñ mālūm ye kyā karte haiñ
'dāġh' tū dekh to kyā hotā haijabr par sabr kiyā karte haiñ