سب لوگ جدھر وہ ہیں ادھر دیکھ رہے ہیں
Ghazal · Dagh Dehlvi · داغؔ دہلوی · 18 sher · Roman Urdu ke saath
sab log jidhar vo haiñ udhar dekh rahe haiñham dekhne vāloñ kī nazar dekh rahe haiñ
tevar tire ai rashk-e-qamar dekh rahe haiñham shaam se āsār-e-sahar dekh rahe haiñ
merā dil-e-gum-gashta jo DhūñDā nahīñ miltāvo apnā dahan apnī kamar dekh rahe haiñ
koī to nikal aa.egā sarbāz-e-mohabbatdil dekh rahe haiñ vo jigar dekh rahe haiñ
hai majma-e-aġhyār ki hañgāma-e-mahsharkyā sair mire dīda-e-tar dekh rahe haiñ
ab ai nigah-e-shauq na rah jaa.e tamannāis vaqt udhar se vo idhar dekh rahe haiñ
har-chand ki har roz kī ranjish hai qayāmatham koī din us ko bhī magar dekh rahe haiñ
aamad hai kisī kī ki gayā koī idhar sekyuuñ sab taraf-e-rāhguzar dekh rahe haiñ
takrār tajallī ne tire jalve meñ kyuuñ kīhairat-zada sab ahl-e-nazar dekh rahe haiñ
nairañg hai ek ek tirā diid ke qābilham ai falak-e-shobada-gar dekh rahe haiñ
kab tak hai tumhārā suḳhan-e-talḳh gavārāis zahr meñ kitnā hai asar dekh rahe haiñ
kuchh dekh rahe haiñ dil-e-bismil kā taḌapnākuchh ġhaur se qātil kā hunar dekh rahe haiñ
ab tak to jo qismat ne dikhāyā vahī dekhāā.inda ho kyā nafā o zarar dekh rahe haiñ
pahle to sunā karte the āshiq kī musībatab aañkh se vo aaTh pahar dekh rahe haiñ
kyuuñ kufr hai dīdār-e-sanam hazrat-e-vā.izallāh dikhātā hai bashar dekh rahe haiñ
ḳhat ġhair kā paḌhte the jo Tokā to vo boleaḳhbār kā parcha hai ḳhabar dekh rahe haiñ
paḌh paḌh ke vo dam karte haiñ kuchh haath par apnehañs hañs ke mire zaḳhm-e-jigar dekh rahe haiñ
maiñ 'dāġh' huuñ martā huuñ idhar dekhiye mujh komuñh pher ke ye aap kidhar dekh rahe haiñ