تم آئینہ ہی نہ ہر بار دیکھتے جاؤ
Ghazal · Dagh Dehlvi · داغؔ دہلوی · 20 sher · Roman Urdu ke saath
tum ā.īna hī na har baar dekhte jaaomirī taraf bhī to sarkār dekhte jaao
na jaao hāl-e-dil-e-zār dekhte jaaoki jī na chāhe to nā-chār dekhte jaao
bahār-e-umr meñ bāġh-e-jahāñ kī sair karokhilā huā hai ye gulzār dekhte jaao
yahī to chashm-e-haqīqat nigar kā surma hainizā-e-kāfir-o-dīñ-dār dekhte jaao
uThāo aañkh na sharmāo ye to mahfil haiġhazab se jānib-e-aġhyār dekhte jaao
nahīñ hai jins-e-vafā kī tumheñ jo qadr na hobaneñge kitne ḳharīdār dekhte jaao
tumheñ ġharaz jo karo rahm pā.emāloñ partum apnī shoḳhi-e-raftār dekhte jaao
qasam bhī khaa.ī thī qur.ān bhī uThāyā thāphir aaj hai vahī inkār dekhte jaao
ye shāmat aa.ī ki us kī galī meñ dil ne kahākhulā hai rauzan-e-dīvār dekhte jaao
huā hai kyā abhī hañgāma aur kuchh hogāfuġhāñ meñ hashr ke āsār dekhte jaao
shab-e-visāl adū kī yahī nishānī hainishān-e-bosa-e-ruḳhsār dekhte jaao
tumhārī aañkh mire dil se le sabab be-vaj.hhuī hai laḌne ko tayyār dekhte jaao
idhar ko aa hī ga.e ab to hazrat-e-zāhidyahīñ hai ḳhāna-e-ḳhummār dekhte jaao
raqīb barsar-e-parḳhāsh ham se hotā haibaḌhegī muft meñ takrār dekhte jaao
nahīñ haiñ jurm-e-mohabbat meñ sab ke sab mulzimḳhatā muaaf ḳhatā-vār dekhte jaao
dikhā rahī hai tamāshā falak kī nairañgīnayā hai sho.abada har baar dekhte jaao
banā diyā mirī chāhat ne ġhairat-e-yūsuftum apnī garmī-e-bāzār dekhte jaao
na jaao band kiye aañkh rah-ravān-e-adamidhar udhar bhī ḳhabar-dār dekhte jaao
sunī-sunā.ī pe hargiz kabhī amal na karohamāre haal ke aḳhbār dekhte jaao
koī na koī har ik sher meñ hai baat zarūrjanāb-e-'dāġh' ke ash.ār dekhte jaao